Stock Market full Information in Hindi

Stock Market full Information in Hindi  

Apne bohot sari jagah par stock market yeh shabd jarur suna hi hoga, jaha pe bohot sare log invest karke profit kamate hain ,  jaha aap badi badi company jese ki “TATA, RELIENCE, ADANI” me invest karke uss compony ke hissedaar ban sakte hai. To esi ke baare main apko yaha puri jankari di jayegi.

  1. What is Stock Market in Hindi?
  2. Difference between Stock and Shares in Hindi?
  3. What is Stock Exchange in Hindi?
  4. What is Equity shares and Stock Holder in Hindi?
  5. Who trades in stock market & what are types / ways to invest in stock market in Hindi?
  6. What is difference between trading and investing in Hindi?
  7. Who is Stock Broker and regulator in India in Hindi?
  8. What is required in invest in stock market? Minimum limit to invest and difference between demat and trading account in Hindi?
  9. What is market capitalization? in Hindi
  10. What is Bear Market and Bull Market? in Hindi?
  11. What is liquidity and Demand and Supply effect on stock market? in Hindi
  12. How does Stock market work? in Hindi
  • What is Stock Market in Hindi?

Stock market is naam se aapko itna to pata chal hi gaya hoga ki yah kisi prakar ka market type kuch to hai.. to aap bilkul sahi samaj rahe ho. Asal mai yah market hai companyonka jaha aap kisi bhi compony mai kuch paise invest yani nivesh karke us compony ki hissedari kharid sakte ho jaha pe aap uss specific company ke partner ban jate ho aur agar company aage jakar uski value ko badha deti hai to aapko uss nivesh se earning ho jati hai. Stock market aisi jagah hoti hain jaha par hum use company ke shares yane hissedari ko kharide ya bech sakte hain.

  • Difference between Stock and Shares in Hindi?

Vese to Stock aur Shares me kuch jyada antar nhi hai . aap vese to usse Stock market ya share market aise kisi bhi naam se jana jata hai.. bas usme itna antar hai ki Stock market iss shabd ko badi jagah par jyada use kiya jata hai aur share ka matlab aap usse company ke chotese hissedari kharid lete ho Jaise ki “aapne XYZ company ki Stock ke 5 Shares kharide hai” aisa kuch hum usko keh sakte hai.

  • What is Stock Exchange in Hindi?

Ab aapko ye toh samajh aa gaya ho gaya hain ki stock market mein aap shares kharide ya beche jate hain par jin companiya ko hum kharide ya bech sakte hain unhe stock exchange par list hona jaruti hota hain. India mein total 24 stock exchange hain jaha par companiya list hoti hain un mein se pramukh 2 stock exchange hain jaha par companiya listed hain woh hain “Bombay stock exchange (bse) aur national stock exchange (Nse)”. BSE aur NSE pe desh ki sari prmaukh companiya list hain aur waha par hum un companiyo ka transaction kar sakte hain.

BSE – 01 Jan 1986 ko shuruwat huwi aur asia ka sab se purana stock exchange hain! Bombay Stock Exchange mein SENSEX index ko dikhaya jata haih. SENSEX ye shabdh Sensetive Index se aaya hain. SENSEX mein total 30 companies la nirdeshank dikhya jata hain aur ismein kai sari companiya listed hain jo hum kharid ya bech sakte hain.

NSE– National Stock Exchange of India ki stapana 1992 mein huwi thi wo ab india ki sabse badi stock exchange mein gina jata hain. NSE NIFTY50 index ko darshata hain.

  • What is Equity shares and Stock Holder in Hindi?

Equity shares ko hum stock bhi keh sakte hain jo company ki hissedari ki pehchan hain. Equity shareholder company ke asli malik hote hain. Jinke pass stock hote hain woh company ke business pe nivesh karte hain. Unhe iski jagah par jab stock ki price badh jati hain tab acha khasa munafa bhi milta hain. Isi tarah jab company profit mein hoti hain tab dividend jari karti hain tab bhi woh dividend ke liye prapt hote hain. Stock holder company ke shares kharid leta hain aur apni hissedari dikhata hain. Agar aapke paas company ka ek bhi share ho tab bhi aap company ke share holder hote ho. Aasan bhasha mein Stock holder company ke equity yani shares mein nivesh karta hain aur us se hone wali nivesh ka faida uthata hain.

  • Who trades in stock market & what are types / ways to invest in stock market in Hindi?

Toh Stock market kai sare log invest/ trade karte hain jaise ki individual yani hum aur aap, foreign investor jo baher ke desh mein rehne ke bawjud humari company mein nivesh karte hain, domestic institutional investor jo ki humare desh ki companiya hoti hain jo ki apni apni companiya ke badle invest karti hain jaise ke mutual fund houses, insurance companies, banks, societies etc.

Stock market mein app equity mein invest kar sakte ho ya phir aap company ke bonds, debenture lekar bhi invest kar sakte ho. Bonds, debenture company ke liye karja hota hain jo company ko interest ke tor par investor ko dena padta hain. Toh phir agar aapne companies ke bonds/ debenture pe nivesh kiya toh aapko company ke taraf se interest milega aur agar aap ne company ke equity mein invest kiya toh aap ko company mein hissedari aur aapko dividend bhi milta hain.

Aap mutual funds mein bhi invest kar sakte ho jaha par aapko directly companion mein nivesh karne ki jarurat nahi hoti hain. Mutual fund mein aapko tai ki huwi rashi mutual fund house ko dena hain phir wo mutual fund house humne tai kiye huwe mutual fund scheme mein nivesh karte hain.

Aur ek tarika hain jaha par hum contract kar ke company ke stock price ko tai kar ke trade kar sakte hain jise derivatives kaha jata hain. Derivatives mein option, futures, hedging etc jaisi chise aati hain.

  • What is difference between trading and investing in Hindi?

Trading aur investing dono mein log stock market mein nivesh karte hain jismein, trading mein log kam samay ke liye nivesh karte hain jaise ki 1 hi din mein kharid kar bechte hain ya phir 7 din ya 1 mahine mein kharid kar bechkar apna hissa nikal deta hain. Trader intraday mein trade karta hain jis se won 1 hi din mein buy aur sell karta hain share ko aur dusri taraf investing mein investor company ke share ko 1 saal ke upar apne holding mein buy kar rakhta hain. Investing mein investor company ke sath lambe samay tak tike rahakar apni hissedari pesh karta hain. Isi karan investing thoda kam risky kaha jata hain trading se kyun investing mein aapko jyada samay milta hain kisi bhi company mein tike rahne ko. Aapko trading karni hain ya investing ye alag alag insano ka alag alag decision hota hain.

  • Who is Stock Broker and regulator in India in Hindi?

Stock ko kharidne aur bechne ke liye humare yaha kisi bhi broker ki jarurat hoti hain jo ki humko companiyo mein nivesh karne ke liye madat/ sahayat karta hain. Agar humein kisi bhi company mein nivesh karna ho toh humein broker ke through hi nivesh karna padta hain. India mein kai sare stock brokers hain jaise ki Upstox, Zerodha, angel one, Motilal oswal, icici direct etc. ye sabhi humein nivesh karne mein sahyata karte hain.

India mein stock market ko regulate/ control SEBI ( Securities and Exchange Board of India) karta hain. SEBI ke kuch rules hain jo unhe market ko control karnme mein madat hoti hain. SEBI market mein hone wali sabhi ghatnawo per dhyan rakhta hain aur stock market mein koi bhi investor ko dokha na de iski puri koshish karta hain. Agar kisi ne SEBI  ki rules ko follow nahi kiya toh use SEBI dand bhi swikarta hain aur age rules ko follow karne ko kehta hain.

  • What is required in invest in stock market? Minimum limit to invest and difference between demat and trading account in Hindi?

Stock market mein invest karne ke liye hum logo ko sirf demat and trading account ki jarurat hoti hain. Demat aur trading account hum stock broker ke pass nikal sakte hain. Demat account mein hum jo bhi nivesh karte hain us ki hissedari store / rakhi jati hain aur dusri taraf trading account mein hum stock ko kharid ya phir bech sakte hain. Jab hum stock broker ke pass account open karte hain tab wo humein dono bhi account open kar ke deta hain.

Stock market mein invest karne ke liye minimum koi bhi limit nahi hain. jaise ki agar koi share ki price 1 rs hain phir bhi wo share aap kharidkar bech sakte hain. yaha per koi bhi minimum limit nahi hain . isi liye aapko sirf aapne manpasand companiyo ke stock ko kabhi bhi market price kharid sakte ho.

  • What is market capitalization? in Hindi

Market capitalization stock market mein bhohot hi jaruri chiz hain aur bhohot hi aham hain kisi bhi stock / company ko jan ne ke liye. Market capitalization ka matlab un sabhi shares jo company ne jari kiye hain unko market price se guna (multiply) jata hain. is se humein ye pata chalta hain ki company kitni badi hain ya phir kitni choti. Company ko 3 hisso mein market capitalization ke dwara bata jata hain jaise ki 1 Large Cap . 2 Mid Cap. 3 Small Cap in 3 ko hum vistar mein samaj lete hain.

Large cap – is mein jis bhi company ka market capitalization 20,000 crore hain un companiyo ko gina jata hain. jyadatar Nifty 50 index ki companiya large cap hoti hain.

Mid Cap – mid cap mein company ka market capitalization 5,000 crore se jyada aur 20,000 crore se kam hota hain. jo bhi is market cap mein aata hain use mid cap companies kaha jata hain.

Small Cap – small cap companies ka market capitalization 5,000 crore se kam hota hain. yeh companies jyada ter bohot hi choti hoti hain market cap se jinke karan yaha per nivesh karna thoda risky hota hain.

  • What is Bear Market and Bull Market? in Hindi?

Toh basically bear market mein kya hota hain ki stock market lagatar kai din niche ki taraf jata hain. stock market gap down open hota hain aur har taraf bikwali ka pressure hota hain companies par. Bear market mein aapko kai achi companies ke stock price aapko girte huwe bhi dikhengi aur apko mauka bhi milenga ki kam price par acha stock le paye. Bear market mein stock market lagbhag 20% tak girta hain.

Bull market mein stock market upar ki taraf jata hain jis ki wajah se market aapko plus mein dikhega kai dino tak. Bull market mein aapko aapki shares price upar jate waqt dikhegi. Bull market mein aapko supply kam aur demand jyada dikhega is karan stock price badhata hain market upar ki taraf jata hain. demand aur supply ke bare mein aage baat karte hain jaise uska kya fark stock price pe hota hain.

  • What is liquidity and Demand and Supply effect on stock market? in Hindi

Liquidity ka matlab nakad dhan hota hain yaha par stock ki liquidity bahut jaruri hoti hain. kyon ki agar stock liquidity nahi hogi toh aap jab chahe stock kharid ya bech nahi sakte jis karan aap kai parishaniyon ka samana karna padta hain. generally liquidity ka issue small cap stock mein aata hain , aapko mid and large cap mein aapko liquidity ka samna nahi karna padta.

Agar kisi chij ka demand jyada hogi aur supply kam toh woh chij mehengi hoti hain waise hi yaha kisi stock ki demand jyada hogi aur supply kam toh stock ki price badh jati hain.

Agar stock ki demand kam aur supply jyada hoga toh stock ki price kam ho jati hain. is liye companies ke stock ki demand aur supply pe dhyan rakhana jaruri hain.

  • How does Stock market work? in Hindi

Jab bhi kisi public listed companies ko paise ki jarurat hoti hain tab wo stock market mein IPO ( INITIAL PUBLIC OFFER!) ke jariye primary market mein list hoti hain jaha public shares ki kharide jate hain aur company apne paise shares bechkar kar ikhathe karti hain. primary market mein IPO lane ke woh stock secondary market mein list hota hain. waha par hum stock buy aur sell karte hain. jab hum koi share kharidte hain tab wo humara broker humari kharidne ki request stock exchange mein karta hain, uske baad samne koi bechane wala bhi hota hain woh stock exchange jis kisi ko bechana hain us se kharidkar humein de deta hain. kharidne ke process mein T+2 days lagte hain matlab hum koi share aaj kharid rahe hain toh woh share humare demat account mein T+ 2 working days mein dikhayi deta hain. yaha par T matlab trade yani jis din humne woh share kharida aur 2 matlab 2 working (chalu) din jab market khuli ho.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *